Woh teray naseeb ki baarisheiN

KahaN aa key ruknay thay raastay, kahaN morr thaa usay bhool jaa
woh jo mil gaya usay yaad rakh jo nahi mila usay bhool jaa

woh teray naseeb ki baarisheiN kisi aur chat pey baras gayeiN
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool jaa usay bhool jaa

mein to gum thaa tere hii dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool jaa

kisi aankh meiN nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahiN hai kam
tujhe zindagi ney bhula diya, tu bhi muskura, usay bhool jaa

kyun attaa hua hai ghubaar meiN, gham-e-zindagi key fishaar meiN
woh jo darj thaa teray bakht mein, sou woh hou gaya usay bhool jaa

naa woh aankh hii teri aankh thi, naa woh khwaab hii teraa khwaab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liay teraa jaagnaa, usay bhool jaa

yeh jo raat din kaa hai khel saa, isay dekh, is pe yaqeeN naa ker
nahi aks koi bhi mustaqil, sir-e-aaina usay bhool jaa

jo bisaat-e-jaaN hii ulat gaya, woh jo rastay mein palat gayaa
usay roknay se hasool kya, usay mat bulaa, usay bhool jaa

**
Amjad Islaam Amjad
**

Re: Woh teray naseeb ki baarisheiN

One of ever green work by Amjad Islam Amjad.

Re: Woh teray naseeb ki baarisheiN

saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool jaa

:5:

Re: Woh teray naseeb ki baarisheiN

ussay bhool ja :hinna: