Here goez the complete version …
Pathar thaa magar barf ke gaaloon ki tarah thaa
Ek shaks andheroun mein ujaloon ki tarah thaa
Khwaboon ki tarah thaa na khayaloon ki tarah thaa
Woh elm-e-reyaazi ke sawaloon ki tarah thaa
Uljha huwa aisa ke kabhi hal ho nahe paaya
Suljha huwa aisa ke misaloon ki tarah thaa
Woh mil tu gaya thaa magar apna hi muqaddar
Shatranj ki uljhi huwi chaaloon ki tarah thaa
Woh rooh mein khushbi ki tarah hogaya tehleel
Jo door bahut chaand ke haaloon ki tarah thaa …