Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

Uljha howa aisa ke kabhi khul nahi paiya
Suljha howa aisa ke misalon ki trha tha
**Wah wah:lajawab: Shair ne kiya khub kaha hai **
Suljha howa aisa ke misalon ki trha tha:k:

Yeh aik shyr aur misra ju main ny Title main likha yad a rhaha hai baqi nazm ya ghazal nahi
waisy lag tu Parveen Shakir ki rahi hai magar mera khiyal hai Parveen Shakir ki hain nahi:hmmm: Tumhara kiya khiyal hai:aq:
Ju bhi khiyal hai mukamil ghazal ke sath irshad ferma ker shukriya ka moqa dijiey:chai::sheen:

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha


*
Khwaboon ki tarah thaa na khayaloon ki tarah thaa
Woh elm-e-riyaazi ke sawaloon ki tarah thaa
Uljha huwa aisa ke kabhi khul nahe paaya
Suljha huwa aisa ke misaaloon ki tarah thaa ...*

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

Here goez the complete version ...

Pathar thaa magar barf ke gaaloon ki tarah thaa
Ek shaks andheroun mein ujaloon ki tarah thaa

Khwaboon ki tarah thaa na khayaloon ki tarah thaa
Woh elm-e-reyaazi ke sawaloon ki tarah thaa

Uljha huwa aisa ke kabhi hal ho nahe paaya
Suljha huwa aisa ke misaloon ki tarah thaa

Woh mil tu gaya thaa magar apna hi muqaddar
Shatranj ki uljhi huwi chaaloon ki tarah thaa

Woh rooh mein khushbi ki tarah hogaya tehleel
Jo door bahut chaand ke haaloon ki tarah thaa ...

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

Ahhhhhhhhhhh just :lajawab:
**Pathar tha magar Barf ke galon ki trha tha:lajawab::lajawab: **
Shukriya janab:bb:

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

Woh mil tu gaya thaa magar apna hi muqaddar
Shatranj ki uljhi huwi chaaloon ki tarah thaa:hinna:

magar ye marka tul Ara ashaar hain kis ke:aq:

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

and Now:D Could you please translate in English
atleast these lines
Woh mil tu gaya thaa magar apna hi muqaddar
Shatranj ki uljhi huwi chaaloon ki tarah thaa:hinna:

Great One …:lajawab:

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

:smack2: GN kuch tou khuda kar khouf karo poetry key taang tortay hoye :aj:

:emmy:

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

nice 1.............
P:S .....waisay uss shaks ko yahan bhejdoo haar ghar main zaroorat hai cuz light bht jarahi hai generator ki jagha woh shaks ujala karday ga;)

aahh kya ghazal yaad dila di bahut pehle parhi thi mene kahin :lajawab: … thankzzzzzzzzzz

Re: Woh Shakhs Andheron main Ujalon ki Trha tha

**Woh mil tu gaya thaa magar apna hi muqaddar
Shatranj ki uljhi huwi chaaloon ki tarah thaa

Woh rooh mein khushbi ki tarah hogaya tehleel
Jo door bahut chaand ke haaloon ki tarah thaa …
Just awesome!:lajawab:**

Nice