woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya....!!

Salaam Dostoon just wanna share this piece of poetry Read it from some where wanna share with u …:slight_smile:
**
yeh bojh ab ke baar say aagay nikal gaya
woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya
kuch bhi ho ziada to munasib nahin lagta
mera sukoon qaraar say aagay nikal gaya
duniya to meri dhool bhi ab dhoond na pa’ay
yeh phool ab ke khaar say aagay nikal gaya
dekhi hai wapsi ki raah jiski umar bhar
woh hadd-e-intazar say aagay nikal gaya
kis tarha zamana usay wapis bula’ay ga
jo zindagi ke taar say aagay nikal gaya
haan haan main manti hoon ke woh bewafa huwa
haan haan woh mere pyaar say aagay nikal gaya
mangi dua bahaar ki to phool yoon khilay
mera chaman bahaar say aagay nikal gaya
RUB ne khushi sabhi ko ata ki jehaan main
lekin mere dayaar say aagay nikal gaya
main kis tarhan say usko manaoon ay mehro-o-maah
woh mere ikhtiyaar say aagay nikal gaya…!!!
**

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya....!!

Nice Lamhay....!!! :-)

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya…!!

Boht khoob :flower1:

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya....!!

Buhat Khub:)

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya....!!

Thanks KN , HH and Muddi!

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya…!!

I really missed to check out … Nice selection and keep it up … :k:

Shayad kabhi kabhar hum chahatay kuch aur hain aur ho kuch jaata hai phir yun hota hai ke chaah kar bhi us khoee huwi manzil ko paa nahe saktay, lekin shayad manzil ke nishaan mitaanay se bhi mit nahe paatay … :frowning:

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya…!!

mangi dua bahaar ki to phool yoon khilay
mera chaman bahaar say aagay nikal gaya

Beautiful… :flower1:

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya....!!

Dhoondati hai tujhe meri tanhaeyaan
Ay meri zindagi khoo gaeen tu kahaan

:(

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya…!!

very nice :k::k:

Re: woh shakhs aitbaar say aagay nikal gaya....!!

hota hay