~*~ Woh saari baatain khwaab huween ~*~

* Woh saari baatain khwaab huween Aur khwaab se phir azaab huween Jab tum ko saba ke jhonkay se Paigaam hamaara milta thaa Jab meri aik nazar se hi Chehra tumhara ... Khilta thaa Kuch yaad sa tum ko hai janaan ? Jab phone ke aadat roz ki thee Kuch dair jo mujh ko ho jaati Tum ghantoon rootha kartay thay Kabhi geetoon ki, kabhi shairoon ki Tum khwahish mujh se kartay thay Kabhi pyar thaa meri baatoon se Mere chehre se, meri aankhoon se Aur jhaank ke meri aankhoon mein Tum khud ko dhoonda kartay thay Ek do din dekh na pao tau Tum be-kal be-kal rehtay thay Aur ab tau aisa aalam hai Koi chaahat hai na ulfat hai Kya pyar muhabbat aur wafa Is zikar se tum ko wehshat hai Mein laakh tassali khud ko dun Ke "Ab Bhi" teri khwahish hoon Anjaan bazaahir lagtay ho Mein ab bhi tera mehwar hoon Kyon tum taqdeer se lartay ho Kyon khud ko dhoka detay ho Kyon khud ko ghaayal kartay ho Kyon mujh ko ghaayal kartay ho Ek baar bata do Jaan-e-wafa Mein ab bhi teri chaahat hoon ??? Mein ab bhi teri khwahish hoon ??? *

Re: ~~ Woh saari baatain khwaab huween ~~

sub kusoor saba ka hai :ASA:

AB....bohot dard bhari post hae :(

Re: ~~ Woh saari baatain khwaab huween ~~

bohat khoob :k:

Re: ~~ Woh saari baatain khwaab huween ~~

Good One** Arif**..:k:

Re: ~~ Woh saari baatain khwaab huween ~~

Thank you blueangel, Shab & Aryaan ...

Re: ~~ Woh saari baatain khwaab huween ~~

nice one