woh saahiloon pe gaane vaale kyaa hue
woh kashtiyaan jalaane vaale kyaa hue
woh subah aate aate raeh gaii kahaan
jo qaafile the aane vaale kyaa hue
main jin kii raah dekhataa huun raat bhar
woh raushanii dikhaane vaale kyaa hue
ye kaun log hain mere idhar udhar
woh dostii nibhaane vaale kyaa hue
imaaratein to jal ke raakh ho gaiien
imaaratein banaane vaale kyaa hue
ye aap ham to bojh haien zamiin kaa
zamiien kaa bojh uthaane vaale kyaa hue
Poet: Nasir Kazmi