Woh rang’o noor thi!!!

is ko parh kar baysakhta he kisi say mulaqaat yaad aa gayee :frowning:

”zawal-e-shab main
sitaroon ne sath chhorr diya,

“saba chali to chiragoon ne
sath chhorr diya,

“mila jo mouqa mujhe un se
baat krne ka,

“Mere naseeb k lafzon ne
sath chhorr diya,

“woh ‘roo ba roo’ thi magar
uss ko dekhte kaise,

“Woh rang’o noor thi
Aankhon ne sath chhorr diya……