**
Jo Hui Aahat To Haar Aahat Pay Chonkay
Apnay Darwazay Pay Kyo Rakhi Nigaah Hum Nay
Dekh Chukay Ho Tum Meri Zindagi Ka Har Baab
Kya Kabhi Kho Deinay Ka Tha Hosla Hum Mein
Woh Qadar Karien Gay Kya Meray Ansoon Ki
Jin Ki Ankhoon Mein Ansoo Na Dekha Hum Nay
Teri Sansoon Say Bhari Shokiyaan Likh Kar
Rakhay Hain Kuch Pannay Bayjaan Hum Nay
Baraf Say Teri Soorat Sa Jo Chehra Banaya
Bah Gaya Jab Aag Mein Jhonka Hum Nay
Ek Saaye Kay Pechay Guzri Zindagi Hamari
Kya Kahoon Kya Paaya Kya Khoya Hum Nay…!!!
**