Woh Puraani Qadrain Sharafatain Woh Hikayatain Nahi DhoondyeHain Woh Guzre Din Ki Nishaniyaan Woh Kahawatain Nahi Dhoondye
Woh Jo Shola Zan Hai Ghazaal Sa Hai Mere Sukhan Main Kamaal SaWoh Faqat Hai Mera Shaoor E Gham Kaheen Rahatain Nahi Dhoondye
:) Aaha...barre waqt k baad aaye hain or kya hi ghazal laaye hain...waaah Janaab dil khush kar dia...khaas taur pe aakhri she'r to kamaal hi hai... Khush rahiye or yoonhi likhte rahiye...
*Share karne ka bohat shukria...:) :) *
Darweshnawazi Ka Shukriya..... Pichle Saal Personal Baitbazi par aise hi Aik Sher Filbadeh Hogaya tha, ispar Amal aur Fara Ji ne bhi girha Lagayee thi, **
**phir baat kaheen gum hogayee, last week fara ji se guzarish ki ke woh sher enayat karen aaj tabiyat mouzun hai, shaid Ghazal ho jaye...bas yunhi Chaar Sher Hogaye... aap tareef karahe hain, to lagta hai, theek hi huwe hain... Nawazish. darwesh.
I would say, very elegant :k: Bohat hi nafeesh qisam ki ghazal hey. Aap ki diary aur hamaarey shaoq ke leeye aek qabil-e-qadr kalaam. Bohat bohat shukriya
Houslafzaayee aur Pasandeedgi Ke Liye Mashkoor aur Mamnoon, Aaplogon Ki Mohabbat Hai, Main Nazm Kah Leta Hun, Ghazal main taba Aazmayee kam hoti Hai. Magar Yeh Ghazal, Pichle Saal "Personal Bait Bazi" Main Ek Sher Hogaya Tha, Fara Ne Bhi Iss Zameen Par ek Sher Kaha, aur Farmaish bhi ki ke Ghazal Mokammal Karen... Main Bhool Gaya, phir achanak imsaal yeh Ghazal Wajood Main Ayee... Anyways... Nawazish.
Doosta chah gaye ho :k: …leekan buhat buhat maharbani Kay Bata Dia kiss key zameen main likhi hay warna main Aksar She’r parh kar sochta rahta hoon kah yah kiss key zameen main hay … baharhall yaar tum nay haq aada kar dia hay aur mera khyal hay Faraz G to pharak jain gay issay parh kar …Waisay Aksar pharpharaty rahtay hain woh … Waisay main nay bhi arsa daraz hoye ek ghazal likhi aur kissi nay correction bhi key leekan ussi he correction kay sath meray pass likhi hoi hay aur aab aap key ghazal parh kar himat naheen ho rahi hay kah ussay market main lay kar aaon …
anyway thaks a lot for such a wonderfull ghazal which attract me a lot … keep sharing
Wow how i miss this one… well i want to say ab tak ka jitna bhi Kalaam you share in GS uss mein say behtreen yehi hay, Buhat achaa andaaz-e-bayaan, lafzon ka chunao, buhat khoob, Thanks for sharing this beautiful piece:-) :k:
Qadardani Ka Shukriya... Darasl Aapka Zauq Classical aur Nafees Hai, Yahi Wajha Hai Apke dil ko yeh Ghazal Bhagayee... Nawazish. Aapne arsa hua Kuch Post Nahi Kiya...Ya Main Miss Kar Gaya ?
Sannan Jani…Smile ! " Haq To Yeh Hai Ke Haq Jataye Koun "… Aapki Mohabbat Hai, Warna Kahan Main Kahan Meri, Bahgair Laces Aur Scenery Wali Ghazal… Aapni Ghazal Saamne To Lau, Kiya Pata Koi Johry Ya Qadardaan Uski Qismat jagade… Good Luck >
Bus Doosta Hum Zara Scenery waghaira he say jazbaat ka izhaar karnay key koshish kartay rahtay hain keonkah yah shae’ri waghaira hamaray bus ka roog naheen hay :no: …