Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

**Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai
Kisi Humsafar ka khayal Tha Mujhe Yaad Hai

Woh Jo Kho gaya Kisi Dasht Me Kisi Shaher Me
Wahi Shaks Apni Misaal Tha Mujhe Yaad Hai

Badi Deir Tak Tairay Khawab The Meri Aankhoun Me
Bada Dukh Bhara Woh Saal Tha Mujhe Yaad Hai

Meri Gardishain Meri Zaat Pe Rahein iss Tarha
Mujhe Har Qadam Par Zawal Tha Mujhe Yaad Hai

Teri Kurbatoun Mein Junoon Tha Kabhi Yaad Ho
Mera Ishq Jaah O Jalaal Tha Mujhe Yaad Hai

Mein Bhala Bhulaoun Teri Har Adaa Toh kis Tarah
Tera Husn Husn-E-Jamaal Tha Mujhe Yaad Hai**

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

:lajawab:

but things fade with time

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

Aap ny Aadhi baat kahi…

Jahan dhundla jaati hyn waheen Kuch cheezayn Khul kr saamny bhi aati hyn…

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

true :hmmm:

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

Kuch yaad aa gaya kia…?

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

:sid: jee

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

Kia…?
Share krna Pasnd kryn gi Aap?

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

:no:

OK

very nice :k:

Re: Woh Nazar Nazar Ka Sawal Tha Mujhe Yaad Hai

**
Woh Jo Kho gaya Kisi Dasht Me Kisi Shaher Me
Wahi Shaks Apni Misaal Tha Mujhe Yaad Hai

ap shuru se karachi me rehte hein :@:

**:)