wo mujh se yoon daaman chuRaane lage
ki guzre huwe din fasaane lagay
jo kal tak muhabbat ka izhaar the
wahi ab hawas ke bahaane lagay
lagaao na pehre yooN khushbuoN par
haiN haasil meN jin kay zamaane lagay
pighal jaate baahoN maiN jo thay kabhii
bahut faasle ab banaane lagay
guzishta jo shab ka hai aayaa khayaal
vo sharma ke ankheiN jhukaane lagay
jo poochhaa to keh daalii hai dil kii baat
na kehna tujhe ab rulaane lagay
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay

S.786
3
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
waah buhut omda kalaam
Aryaan
4
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
Bohat Khoob Brijinder..:k:
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
Nice :k:
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
shukriya,meharbaani.

^
U deserve bro :k:
Azad
8
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
hummm
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
shukriya,meharbaani.
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
suprubbbbbbbbbbbbb
Re: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
I am thankful to you for the kind words.