~*~ woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay, na mila to bhi honto pe aahain raheen ~*~

*Na hi manzil milli, na koi aashna, mein bhatakti rahi, safar jaari raha
Umar-e-chand roz ka lamha lamha yahaan mein ne tanha saha garchay bhari raha

Yeh muqaddar ke madd-o-jazar kya kahun? ke mein shashdar rahi, kuch bhi keh na saki
Woh mujhe dekh kar ajnabi ban gaya jo mere rastoon ka pujaari raha

Mujh se poocho nahe tum Khuda ke leye, mein nahe janti muskurahat hai kya
Ke mein jab tak rahi tau mere dais mein aalam-e-wehshat-o-soug taari raha

Na koi aarzoo hai na shikwa gila, yeh bhi acha huwa mera dil bujh gaya
Warna jab tak raha yeh mere wastay mustaqil wajha-e-beqaraari raha

Aisa kyon-kar huwa, sochti rahi, mein dukhoon ke qaffas mein umar bhar rahi
Mein kisay dosh dun ke meri raah mein, mera apna muqaddar shikaari raha

Woh mila tau bhi aankhoon ko ansoo mile, na mila tau bhi hontoon pe aahain raheen
Woh ajjab shaks thaa ke har ek haal mein, wajha-e-be-sabab sougwaari raha …*

Re: ~*~ woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay, na mila to bhi honto pe aahain raheen

:k:

Re: ~*~ woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay, na mila to bhi honto pe aahain raheen

bohot Alaa...

Re: ~*~ woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay, na mila to bhi honto pe aahain raheen

good one