Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
Zarra e dard ko sehra naheeN honay deta
**
Saath rakhta hooN teri yaadoN ki dhanak
MaiN kabhi KHud ko akela naheeN honay deta
ZaKHm bharta hai naya zaKHm laganay kay liay
Kya maseeha hai keh achcha naheeN honay deta
**
Jis kay anjaam say TooTay mera pindaar e ana
MaiN woh aaGHaaz dobara naheeN honay deta
Rok deta hooN umadtay huay toofaan NASIR
Qatra e aSHk ko darya naheeN honay deta
Ŋå§ζя
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Beautiful.....
[/QUOTE]
Thanks! :)
Paglee
February 1, 2003, 10:25pm
6
Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
**
Saath rakhta hooN teri yaadoN ki dhanak
MaiN kabhi KHud ko akela naheeN honay deta
Ŋå§ζя
[/QUOTE]
gg andaza hai 2 ya 4 log tu on line rahtey he akela kesay..;)
mazak k part nice one..:) thanks 4 sharin
WiseGuy
February 1, 2003, 11:01pm
7
Re: Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
do hee kafi na,
Khoob guzray gee jo mil baithiaN gay deewanay do
Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
:k::k:
Paglee
February 1, 2003, 11:17pm
10
Re: Re: Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
but aik mayaan main kia ** do dewanay** rah saktey
WiseGuy
February 2, 2003, 12:42am
11
Re: Re: Re: Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
maloom nahee, Mayaan TALWAAR kay liay hoti na, aap DEEWANAY rakhti mayaan main
Ana
February 2, 2003, 3:19am
13
wah ji. Who wrote this?
Jis kay anjaam say TooTay mera pindaar e ana
MaiN woh aaGHaaz dobara naheeN honay deta
Paglee
February 2, 2003, 4:03am
14
Re: Re: Re: Re: Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
*Originally posted by WiseGuy: *
maloom nahee, Mayaan TALWAAR kay liay hoti na, aap DEEWANAY rakhti mayaan main
lo kar lo gal Paglon se kia umeed rakhtey hain ap..wo kab kahan kai rakh dain..;)..
WiseGuy
February 2, 2003, 4:23am
15
Re: Re: Re: Re: Re: Re: Woh meray GHam ka madawa naheeN honay deta
Paglon, oh God! kia poora gang aapka yahan per hai
WiseGuy
February 2, 2003, 4:25am
16
[QUOTE]
*Originally posted by Ana: *
wah ji. Who wrote this?
Jis kay anjaam say TooTay mera pindaar e ana
MaiN woh aaGHaaz dobara naheeN honay deta
very self-confident i c.
[/QUOTE]
Thanks Ana Jee,
This is Nasir Kazmi's ghazal...
Azad
February 2, 2003, 6:58am
17
WG kia baat hay aap kay zooq ki :k: :k:
kia seletion hay … poetry main bhi our ..

Nice :k: