_Suraj
February 24, 2003, 7:12pm
1
**
Woh mera thaa, yeh bataana ajeeb lagta hai
Ab us se aankh milaana, ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein kabhi bhi mera na ho paaya
Ab us ka khwaab mein aana, ajeeb lagta hai
Baray khuloos se dawat tu us ne bheji hai
Per us ki bazm mein jaana, ajeeb lagta hai
Thaa jis ka haath hamesha hamaaray haathon mein
Ab us se haath milaana, ajeeb lagta hai
**
hmmmm....
aah..bas aisaa to hotaa hai phir[sighz]
:-s
:(
:((
Lamhay
February 25, 2003, 8:22am
6
woh mera tha hi nahin jab tha hi nahin tu phir kiya gila karna suraj !!
bahut khoob!!
Azad
February 25, 2003, 10:47am
7
Re: Woh mera thaa, yeh bataana ajeeb lagta hai
*Originally posted by ~Suraj ~: *
**
Woh mera thaa, yeh bataana ajeeb lagta hai
Ab us se aankh milaana, ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein kabhi bhi mera na ho paaya
Ab us ka khwaab mein aana, ajeeb lagta hai
Baray khuloos se dawat tu us ne bheji hai
Per us ki bazm mein jaana, ajeeb lagta hai
Thaa jis ka haath hamesha hamaaray haathon mein
Ab us se haath milaana, ajeeb lagta hai
**
kia baat hay … :k:
aap ka dard hum nay suna our mehsoos kia … sachi baat to yeh hay ke “woh” kiss karb main hay na koi andaza laga sakta hay our na hi mehsoos kar pay ga … anyways thanks for sharing … :k: :K:
“woh” kash humara dil hota our hum aap ki nazar kartay
bahot umda ~woh mera tha ye batana ajeb lagta hai ~kabhi kabhi aisa morh ata hai ~
wah, bohotttttttttt heeeee acha :k: :k