woh mahmaaN hui thi bas ik raat ki
ajab raat thi woh tilasmaat ki
usay kuchchh bhi sun’ne ki aadat kahaaN?
kya zaroorat thi tum ko sawalaat ki!
ajab be~dili se milaa aaj woh
na ji bhar ke dekha na kuchchh baat ki
banaya tha us ko mire waaste
magar dekh saazish yeh haalaat ki
kabhi khushk hoN ge yeh aaNsu mire?
jhaRi ik musalsal si barsaat ki
??? us ne ham se ajab khel khela
bas ik daao meiN zindagi maat ki
bohat naaz tha apne haalaat par
nazar lag gai mujh ko haalaat ki
??? is qadar gham na kar meri Jaan
ab woh izzat naheeN ahl-e-saadaat ki