~*~ Woh likh kar naam dewaroon pe mitaana bhool jata thaa ~*~

http://www.shayari.in/shayari/attachments/dard-e-dil-shayari/5034-udas-nazron-mai-bhi-khuwab-thinking_of_u_by_pepeboyd.jpg%3Fd%3D1211557070

Udaas shaamon mein laut kar woh aana bhool jaata thaa
Kar ke khafa mujh ko manaana bhool jaata thaa

Inhi khaslatton ne us ki mujhe badnaam kar daala
Woh likh kar naam dewaroon pe mitaana bhool jata thaa

Mat poocheyay muhabbat mein la-parwai us ki
Dey ke zakhm woh marham lagaana bhool jaata thaa

Kitna dil-nasheen hota thaa us ki yaad ka manzar
Woh jab bhi yaad aata thaa zamaana bhool jaata thaa …

Re: ~~ Woh likh kar naam dewaroon pe mitaana bhool jata thaa ~~

so sad
thanx 4 sharing