Woh Kuch duur to chala saath

Woh Kuch duur to chala saath
Mera humsafer Ban kar
Phir khud he Ruk gaya
Raaston ki Mushkilain Dekh kar
Larhny ka uss mein Hosla na tha
Apne aap par bhi Bharosa na tha
Duniya se bhi Darta tha woh
Mera Saath Bhala kiya dayta woh
Saare Wade torh kar
Har Bandhan ko torh kar
Woh Chala gaya Tanha mujh ko chorh kar
Yeh kah kar gaya ke SANAM!
Mohabbat tujh se Zaroor hai magar
Mein Larh nahi sakta zamany se
Mein to apne se bhi darta hon
Apna he Bharosa nahi mujhy
Mein Tera saath bhla kaisse don
Mujh ko tum Maaf kardo
Mein Mohabbat tujh se zaror kerta hoon
Nabhany ka Magar mujh mein Hosla nahi!

Ok..I can understand you:p .. no problem...main bhee yahee cahtaa thaa keh tum mujhay jaldeee say yeah kah doo takay tum say jan chootay:D

^
:confused: