*Khulli jo aankh tu woh thaa na woh zamaana thaa
Dehakti aag thee tanhaee thee fasaanaa thaa
Ghamoon ne baant liya mujhe yun aapas mein
Ke jaise mein koi lutta huwa khazaana thaa
Yeh kya ke chand hi qadamoon pe thak ke beth gaye
Tumhein tu saath mera door tak nibhaana thaa
Mujhe jo mere lahoo mein duboo ke guzra hai
Woh koi gair nahee yaar ek puraana thaa
Khud apne haath se 'Shehzad' us ko kaat diya
Ke jis darakht ke tehni pe aashiyaana thaa ...*
very nice.. :k:
HeArT HaCKeR
Nawazish … ![]()
Bohat Khoob :)