woh kiyamat ho sitara ho kay dil
kuch na kuch hijr mein totay to sahi
hum waheen par hi basa lein khud ko
woh kabhi rah mein rokay to sahi
sab say hat kar hi manana hay usay
hum say ekh bar woh rothay to sahi
dil usi wakt sambhal jay ga
dil ka ahwal woh pochay to sahi
uski nafrat bhe muhabbat hogi
meray baray mein woh sochay to sahi
uskay kadmoon mein bicha doon ankhein
meri baste say woh guzray to sahi
uskay sab jhoot bhe sach hein
shart itne hay woh bolay to sahi