~ Woh khwaab tu ab bikhar gaye ~

**
Mein hoon jis makaan ki chatt talay
Mera ghar nahee
Tera naam darj hai jis jagah
Tera dar nahee

Tujhe yaad hai
Tujhe yaad hai kisi shaam hum ne banaya tha
Kaheen aik chotta sa rait ghar
Ussi rait se, ussi rait per
(Ussi rat par jo thee raah mein kisi mauj ke
Kabhi apne hone ke dheyan mein
Kabhi maujizoon ke gumaan mein)

Humein ilm thaa
Humein ilm thaa ke woh rait-ghar
Jo thay muntazir kisi mauj ke
Unhain toot jane se roknay ka khayal
Amar-e-mahaal hai
Issi mauj-o-raig ke khail se hi bahaal hai
Woh talaazma,
Woh raabta, jissay maan’ne ke fishar mein
Rah-e-aagahi ke saraab bhi, sabhi khwaab bhi
Issi ek lamha-e-mukhtasir ke hisar mein hai gira huwa
Khatt-e-raig bhi, kaff-e-aab bhi
Yeh daastaan tu thee tarjumaan
Kisi khail ki, ussi khail ki
Jissay khailtay humein aa liya kisi rait ne
Ussi rait ne jissay apne khoon se jawaan kiya
Mere shauq ne, tere saath ne
Kisi un-chuway se khayal ne
Kisi door hoti si baat ne

Tujhe yaad hai, mujhe yaad hai
Woh jo baat ki bari dair tak
Mere haath se, tere haath ne

Kahaan thaa gumaan, kissay thee khabar
Jo kaha thaa shauq ki lehar ne
Jo likha tha rait ki lauh per
Ussi aik shaam ka khail thaa
Ussi aik pal ka jamaal thaa
Ussi khail mein, ussi shaam ko

Woh jo rait-ghar se bikhar gaye
Woh jo aik pal mein ujjar gaye
Mere khwaab thay
Tere khwaab thay

Aur woh khwaab tu ab bikhar gaye
Haan bikhar gaye, bas bikhar gaye**

hummm

Suda jo tera haal hay aisa to nahi woh, khair Allah ki heqmat hi nirali hoti hay, Allah rahum kar Ujarr halon par

:teary1:

Kiya hoo giya hai....

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Kiya hoo giya hai....
[/QUOTE]

Jo nahi hona chahiay tha

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Jo nahi hona chahiay tha
[/QUOTE]

Dukh fasaana nahee ke tujh se kahain
Dil bhi maanaa nahee ke tujh se kahain

Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye humein kahani ki tarah

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Dukh fasaana nahee ke tujh se kahain
Dil bhi maanaa nahee ke tujh se kahain

[/QUOTE]

batanay ki koi zaroorat nahi,
Saray jahan ka dard humaray jigar main hay


hunn hunnn hunn ... dug dugi bajao goriyo (BRB)

:k:

ahan…well said:k:

sad...

nice though.

Thanks !

nice..

[QUOTE]
Originally posted by arifnawaz: *
**Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye humein kahani ki tarah
*
[/QUOTE]

hum tu samjhe thae kae hum bhoolgae hain unko
aaj kya baat hoi kis baat pae rona aeya

kabhi khud pae kabhi halat pae rona aeya
baat niklee tu har ik baat pae rona aeya

:k: