***Jinhain chaha bahut hum ne, magar apnaa nahi paey ***
***Bohat ankhon ne barish ki, mujhe woh yaad jab aaey ***
***Bary daway thay hum tum se, juda ho kar bhe jee lain gay ***
***Magar ek lamha bhar ki hum, judai seh nahin paey ***
Main jin ki rah takta hoon na janay kitne arsay se
***Koi un se zara pochay,woh milne Q nahi aaey ***
***Na jany kab se apne aap ko him to badal bethy ***
***Yeh Qismat k sitaaray Q badalne ko nahe aaey ***
***Aay Qasid! tum kaho un se, woh larna chor dain hum se ***
***Woh jab se rooth bethay, tab se hum bhe so nahe paaey ***
***Khudaya shukar hay tera keh yadon par nahein pehra ***
***Agar yadon pe pehra ho,to phr Aashiq kahan jaey ***
***Jo kehtay hain mohabat kuch nahin hoti zamanay mein ***
***Woh khud bhe to mohabat k bina Q reh nahi paaey ***