"woh Kehti Hay"

woh kehti hay sitaray aansoun main kion mecheltay hain

main kehta hoon mohabbet aansouon main rung latti hay

woh kehti hay tumharay baad barishain kion nehi hotien

main kehta hoon meri jaan hijer sehra main rehta hay

woh kehti hay k payar ka metleb batao

main kehta hoon k her ek baat ka matlub nehi hota

woh boli dil lefz kuch kehtay houay akser jhijekta hay

main bola dil main baithay chor ko restah nehi milta

woh boli serdion main dhoop ki shidet kabhi daikhi

main bola tum nay meray lems ki hidet kabhi daikhi

woh mujh say poucheti hay,Kerbela kia phir bepa hogi

main kehta hoon nehi,ab is qader tenha nehi koi

woh boli’derd k us par bhi ek derd hota hay

main is k baad kitni dare tuk phir kuch nehi bola

woh boli’derd k us par bhi ek derd hota hay

Wah :k:

Thanks for sharing

zabardast ~~ :k:

thx Azad & Vivo:)

Aur Main Kehta Hoon Keh Kia Baat Hay :k: :k:

Very Nice :k: Smily

Nice …:k:

achi hai :~)

shukria:)