one of my fav’s…
Yeh doulat bhi le lo
Yeh shohrat bhi le lo
Bhaley cheen lo… mujh se meri Jawaani
Magar mujh ko lauta do , Bachpan ka saawan,
Woh Kaaghaz Ki kashti, woh Baarish ka Paani
Muhalley ki sab se Nishaani puraani…
Woh Burhiya jissey bachey kehtey thay" Naani"
Woh naani ki baaton mein pariyon ka daira
woh chehrey ki Jhuriyon mein sadiyon ka phaira
bhulaa’ey nahin bhool sakta hai koi
woh chhoti si raatein, woh lambi kahaani
Woh Kaaghaz Ki kashti, woh Baarish ka Paani
kari dhoop mein apney ghur se nikalna
woh chiriya, woh bulbul, woh Titli pakarna
woh guriya ki shaadi pe larna jhagarna
woh jhoolon se girna, woh gir ke sanbhalna
woh peetal ke chhallon ke pyaarey se tohfay
woh tooti hui chooriyon ki nishaani…
Woh Kaaghaz Ki kashti, woh Baarish ka Paani
Kabhi Rait ke oonchey teelon pe janaa
gharondey banaana , bana ke mitaana
woh masoom chahat ki tasveer apni
woh Khawabon ki jageer apni
na Duniya ka ghum tha na rishton ke bandhan
Bari Khoobsoorat thi woh Zindagaani
Woh Kaaghaz Ki kashti, woh Baarish ka Paani