*Ussay apne farda ki fikar thee woh jo mera waaqif-e-haal thaa
Woh jo us ki subh-e-urooj thee wohi mera waqt-e-zawaal thaa
Mera dard kaise woh jaanta meri baat kaise woh maanta
Woh tau khud fana ke safar mein thaa ussay rokna bhi muhaal thaa
Kahaan jaoge mujhe chor kar mein yehi pooch pooch ke thak gaya
Woh jawaab mujh ko na de saka woh tau khud saraapa sawaal thaa
Woh jo us ke samne aa gaya wohi raushni mein naha gaya
Ajjab us ki haibat-e-husn thee ajjab uska rang-e-jamaal thaa
Dam-e-wapsi ussay kya huwa na woh raushni na woh taazgi
Woh sitara kaise bikhar gaya woh tau khud aap apni misaal thaa
Woh mila tau sadeyoon ke baad bhi mere lab pe koi gilla na thaa
Ussay meri chup ne rula diya jissay guftugoo mein kamaal thaa
Mein sath lag ke woh ro deyey mujhe bas woh itna keh saka
Jissay jaanta thaa mein zindagi woh tau sirf weham-o-khayaal thaa …*