~*~ Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa ~*~

http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/500/HG_TujayAikBhiNaSafaiDi.jpg

*Tujhe aik bhi na safaee di, meri jaan yeh mera kamaal thaa
Tujhe dostoon per yaqeen thaa, mujhe dushmanoo ka khayal thaa

Banteen shehar mein jo riyattain, tau panaah dhoond li dasht mein
Woh kisi ka reham-o-karam sahi, yeh meri anaa ka sawaal thaa

Tere mausamoon ka hai aik pal, meri yaad mein thaa saja huwa
Mujhe is se koi garz na thee, woh firaaq thaa ke wisaal thaa

Woh jo lamha bhar ki bahaar thee, meri umer bhar ka hisaar thee
Na naye gilon ki tallab koi , na khizaan ka koi malaal thaa

Bhala waqt se mein darunga kya, kabhi khwauf is ka karunga kya
Jissay hans ke mein ne chuna thaa khud, wohi us ka ghaiz-o-jalal thaa

Kisi aur kya bhi yeh haal ho, tau yeh dil na itna nidhaal ho
Meri badnaseebi tau yehi huwi, mein khud aap apni misaal thaa

Mujhe ilm thaa, mein saraab thaa, sau naseeb mera kharaab thaa
Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa …*

Re: ~~ Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa ~~

bohat khoob

Re: ~~ Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa ~~

bohat khoob :k:

Re: ~~ Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa ~~

baut hi umda

Re: ~~ Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa ~~

buhat khoub

Re: ~~ Woh jo raiza raiza huwa thaa mein, wohi mera khwab-o-khayaal thaa ~~

Very nice :k: