Rang tha roshni thi, qayamat tha,
*Jis pe hum mar mittey qayamat tha,
Khush jamalon mein dhoom thi apni,
*Naam us ka bhi wajah-e-shohrat tha,
Khawab tameer ban kar atey they,
*Kya ajab mausam rafaqat tha,
Aik aik saans qurbton ka gawaah,
*Har nafss lamhaa-e-ghaneemat tha,
Aur phir yun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishta-e-mohabbat tha…!!!