woh jiss ko jazboN ki har leher nay tHeher kay pooja kahaN nahiN hay
to shehr-e-aql kay baasioN ko yeh kiyuN yaqeeN hay yahaN nahiN hay
tumhi ko dekha tumhi ko socha tumhi ko chaaha tumheN na paya
mohabbatoN kay hazaar rastay koyi bhi manzil jahaN nahiN hay
yeh kya keh tum nay kisi say poochi hamaray dil ki woh sab kahani
keh jiss ka mehram siwa tumharay koyi bhi hamdam yahaN nahiN hay
mohabbaton meN yaqeeN ki hud say guzar kay ab maiN wahaN khaRi hooN
jahaN tumhaaray kisi qadam pay jafa ka hargiz gumaN nahiN hay
hamaare dil ki in dharkanoN say kaho keh chup yeh raheiN kHudara
yahaN pay gooNji heiN furqateiN hi milan ka naghma yahaN nahiN hay
ek umr guzri keh zard roo hay hamaray jazboN ka garm jungal
khizaaN ka mausam hay kaisa mausam keh jiss pay ab tak khizaN nahiN hay
suna hay uss ki lateef hasti jahaN meN jaaN se qareeb tar hay
hamari qismat ajeeb tar hay jahaN bhi dhoonda wahaN nahiN hay