~ Woh Jin Ke Pyar Mein Sadeyaan Guzar Deen Hum Ne ~

* Kahaan thay aap zamaanay ke baad aaye hain Mere shabaab ke jaanay ke baad aaye hain

Mere huzoor bataaoo meri khata kya hai
Bhari bahaar ke jaanay ke baad aaye hain

Giraana thaa tu falak se humein gira detay
Nazar se hum ko giraanay ke baad aaye hain

Woh jin ke pyaar mein sadeyaan guzar deen hum ne
Har ek khwaab jalaanay ke baad aaye hain

Kahaan thay aap zamaanay ke baad aaye hain
Mere shabaab ke jaanay ke baad aaye hain

Re: ~ Woh Jin Ke Pyar Mein Sadeyaan Guzar Deen Hum Ne ~

wah zabardast saray sawaloon k jawabaat poray huay .....!!!

Re: ~ Woh Jin Ke Pyar Mein Sadeyaan Guzar Deen Hum Ne ~

bahot khoob.....

Re: ~ Woh Jin Ke Pyar Mein Sadeyaan Guzar Deen Hum Ne ~

goooooooooooooooooooooood