woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

***

keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi

na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi

mohabbatoN ka safar is tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi

adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi

bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi

ajeeb hoti hay rah`e sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi

kya taqseeM hai teri mol’a
maiN tanha halaat samandaR

V nice chandOo

~kabi alwida na kahNa~

woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi

na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi

adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi

bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi

bohat khoob..........

C-C great

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Sher kissey kay hijar maee kehna,Harf-e-sawal kissey say
Hum bhi kya haian, dehan kissey ka, aur sawal kissey say

Assay sadha dill logooN key charaGarey kaisey hoo
Dard ka DermaAn aur koie ho, Kehna haal kissey say

Very good , Buhat Acha Hai , Keep it up

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi....

Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharnay walay mein sab kuch tha,bewafaayi na thi

mohabbath kee nazar say dekhna kuch aur hotha hay
diloo'n mein honay wala rabthaa kuch aur hotha hay
Shanasayee,rafaqath,dosthee apnee jagah
Wafa kee paasdaaree mashghala kuch aur hotha hay!!!!!;-)

nice shair dharkan

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

thankz for posting

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~

Many thanko jano ge,arsh,jumura ge and umar ge

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~

adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi

bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

bahot achha hai..Chand ji....

Baza ye zabt-e-gham phir bhi,mohabbat meiN kabhi ro ley
Dabaane ke liye har dard, ye naadaN nahiN hota.

boht khoob …

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

bohat khoob chandoo…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

very nice mukkarar..

mairay dill mairay mussafir

awwww jumura ge ye shair to mane abhi parhay
very nice specially this line
Dard ka DermaAn aur koie ho, Kehna haal kissey say

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~

bohat shukria pramod ge,akif ge and sona

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~

chanda app ki choice boht achee hay.

Re: woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

kia is kay poet Peer-nasir ud din hien?? ya ya koi aur naseer hien??

Re: woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Chaand Chehra…!

bohat khoobsoorat Ghazal hay…!

khush rahiye…

Re: woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Yeh Ghazal Naseer Turabi Sahib ki hay.

Re: woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

awwi shabashi.. itna purana thread :hayaa:

Re: woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

very good, keep em coming

-DP

Re: woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Jee yeh tau maiN ne ab ghor kiya…! ye tau 10 saal purana thread hay…

aaj kal yeh ghazal aik Drama Serial ‘Hamsafar’ ki zeenat bani huii hay, tab hi is ki dobaara yaad aaii thee. :slight_smile: