**woh bakshta hain gunah e azeem b lekin
humari choti se naiki sambhal rakhta hain
**
Hum usay bhol jaty hen roshni mein
Wo tariqi mein b khayal rakhta hai
Jo kabi dair say lotun to meri maa ki tarhan
wo mery rizk ka hisa nikal rakhta hai
**
gharo mein jin k dia b nai hai un k liye
fiza mein chand sitary uchal rakhta hai
**
Muhabat apnay bandoun say kamal rakhta hai
**Woh aik Allah hi hai jo Aap or mera khayal lazawal rakhta hai
**