Ay hawaa … Sirf itna sa Dilbar se kehna …
Ke hum ne tujhe sochnay, khojnay
Aur paanay ki sab khwahishoon ko
Udaasi ki deewaroon mein chunn diya hai
Tujhe pyar se dekhnay waali aankhain
Basaarat se mehroom kar dee hain
Hum ne tujhe paanay ki aarzoo ko fana kar diya hai
Teri deed ki jo machalti thee khwaahish
Ussay hum ne dil se paray kar diya hai
Qadam jo tere raastay se zara bhar bhi hat’tay na thay
Ab sanam teri raahoon pe partay nahe hain
Tere shehar mein aana jaana raha
Na teri yaad mein shab bitaana raha
Woh haqeeqat rahi na woh fasaana raha
Chaand, jis ko tera iste’aara samajhtay thay hum
Us ko dekhay huwe ek arsa huwa
Ay hawaa … Sirf itna sa Dilbar se kehna …
Re: ~~ Woh haqeeqat rahi … Na fasaana raha ~~
Good One …:k:
Re: ~~ Woh haqeeqat rahi … Na fasaana raha ~~
*Ay hawaa … Sirf itna sa Dilbar se kehna …
*
:hinaa: mein nay bhi iss qisam key chand line par mushtamil poem likhi thi
Re: ~~ Woh haqeeqat rahi ... Na fasaana raha ~~
Thank you babri and Sannan ...