Dedicated to Lamhay
Woh guzre huwe saaray lamhay
Woh beeti huwi sabhi baatain
Woh meri tumhaari mulaqaatain
Sab yaadain zehan mein aati hain
Har raat se pehlay har shaam ke baad
Saawan ki barasti rimjhim mein
Baharoon ki mehakti shamoon mein
Hum tum jaise miltay thay…
Woh baatain sab yaad aati hain
Har raat se pehlay har shaam ke baad
Woh aakhri khat hai paas mere
Kajal se jo tum ne likha thaa
Kaagaz bhi bheega bheega thaa
Woh khat mein aaj bhi parhta hoon
Har raat se pehlay har shaam ke baad
Hain qadmoon ke do chaar nishaan
Har aalam hai weeraan weeraan
Woh rasta jahaan hum bichray thay
Mein ab bhi wahaan pe jaata hoon
Har raat se pehlay har shaam ke baad
Jis dil mein kabhi tum bastay thay
Tum jis ko tor ke chalay gaye
Us tootay phootay khandar mein
Mein ab bhi diya jalaata hoon
Har raat se pehlay har shaam ke baad…