Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay...

Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay
Chand Kehtay Hain Kissay Khub Samjhtay Hun Gay

Itnii Milltee Hai Mairee Ghazloun Say Sourat Tairee
Log Tujh Ko Maira Mehboob Samjhtay Hun Gay

Main Samjhta Tha Muhabat Key Zubaan Khusboo Hai
Phool Say Log Issay Khub Samjhtay Hun Gay

Bhool Kar Apna Zamana yeh Zamanay Walay
Ajj Kay Piyar Ko Mayub Samjhtay Hun Gay

2 Likes

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay…

Aha 2nd shair kya kehne umda aur aakhri shair wah khoob maza aa gaya parh kar thanks muddi bhara :k:

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay…

U r welcome SID bro:)

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay…

Nice Poem. Bhot KhooB :k:

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay…

Thank u Abla Pa:)

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay...

Main Samjhta Tha Muhabat Key Zubaan Khusboo Hai
ye 'thaa' zara chubb raha

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay...

Itnii Milltee Hai Mairee Ghazloun Say Sourat Tairee
Log Tujh Ko Maira Mehboob Samjhtay Hun Gay

Main Samjhta Tha Muhabat Key Zubaan Khusboo Hai
Phool Say Log Issay Khub Samjhtay Hun Gay

bohat khoob. Thanks 4 sharing with us.

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay…

Bhool Kar Apna Zamana yeh Zamanay Walay
Ajj Kay Piyar Ko Mayub Samjhtay Hun Gay

very nice :k:

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay...

Yeh Tu Phir Bashir Badar say theek karwana parya ga cuz its his poem main nay tu sirf share key:)

Re: Woh Ghazal Waloun Ka Usloub Samjhtay Hun Gay...

Thank u :)

:slight_smile: