Fursat-e-karoobaar-e-shauq kissay
Zauq-e-nazzaara-e-jamaal kahaan
Dil tu dil woh dimaag bhi na raha
Shor-e-saudaa-e-khat-o-khaal kahaan
Thee woh ek shaks ke tassavur se
Ab woh raa’naaey-e-khayaal kahaan
Aisa aasaan nahee lahoo rona
Dil mein taaqat jigar mein haal kahaan
Hum se choota qimaar-khaana-e-ishq
Waan jo jaaye girah mein maal kahaan
Fikar-e-duniya mein sar khapaata hoon
Mein kahaan aur yeh wabaal kahaan
Muzmahil ho gaye quvaa Ghalib
Woh anaasir mein aitadaal kahaan…