Kya kuch nahin kehta hain
woh ek aansun
kuch na keh ke bhi
bahot kuch keh jaata hai
woh ek aansun
kisi ke dil ki aah banke nikalta hai kabhi
kisi ke dil ka chain banke nikaltaa hai kabhi
woh ek aansun
kabhi kisi bedardi ke gam chupe hote hai usmain
aur kabhi kisi masoom ki siskiyaan bayaan karta hai
woh ek aansun.
kabhi kisi ki pyaas bujhaate hai
aur kabhi kisi ki chah ka karz utaar ta hai
woh ek aansun.