baat jab bhi us zamaane ki hoti hai
kyon hoti hai koshish bhoolne ki meri
le jaata hai un dinon mein tazakiraah
hoti thi rut woh maanne manaane ki
woh zard zard se lifaafon mein khat mere
sabz lafzon ke qaasid bayaane huaa karti thi
koi saayaa na thaa gauhaar si dhoop bhikhari
ek tassawur shabaab mein lipti koi hoor shadab si
pighal gaya kab woh aaftab saaye kab badhne lage
ankhon mein nam rukti hain ab woh baaten woh mazaameen
humm
Kiya baat hai yaar khush rahoo
Waah Maasha Allah Bahot Khoob Kaha!