Galaxy
1
**Woh dilnawaaz hai lekin nazar shanaas nahi
Mera ilaaj merey chara gar key paas nahi
Tarap rahey hain zaban per kai sawaal magr
Merey liye koi shayaan-e-iltimaas nahi
Terey jilo mein bhi dil kaanp kaanp uthta hai
Merey mizaaj ko aasoodgi bhi raas nahi
Kabhi kabhi jo terey qurb mein guzaarey they
Ab un dino ka tasawwur bhi merey paas nahi
Guzar rahey hain ajb marhalon sey deeda-o-dil
Sehr ki aas tu hai zindagi ki aas nahi
Mujhe yeh dar hai teri aarzo na mit jaye
Buhat dino sey tabeeat meri udaas nahi**
Dilsay
2
Very nice thanks for sharing
Tarap rahey hain zaban per kai sawaal magr
Merey liye koi shayaan-e-iltimaas nahi
Buhat Khoob:flower1:
WaH:k:…
Wah Wah Galaxy sahib…aap ka to jawaab nahi:hula: :biggthumb
Galaxy
6
thnx everybody..............and Twister
Welcome to the world of GS
wah beautiful choice:k::k:
thanks for sharing:)
Galaxy
10
thnx AsSweetAs and chand_chehra
Re: Woh dilnawaaz hai lekin nazar shanaas nahi
Buhat khoosburat ghazal hai :k: