Woh dil hi kya jo teray milnay ki dua hi na keray
Mein tujh ko bhool ke zinda rahoon khuda na keray
Rahay ga saath tera pyaar zindagi ban ker
Yeh aur baat meree zindagee wafa na keray
Yeh theek hai nahee marta koii judaayee mei
Khuda kisi se kisi ko magar juda na keray
Suna hai uss ko mohabbat dunya detee hai
Jo dil pe chot to khaaaye magar gila na keray
Zamanaa dekh chuka hai parakh chuka hai usay
Qateel jaan se jaaye par iltejaa na keray