Woh dil he kya jo teray milney ki Dua na karay,
Main tujh ko bhool k zinda rahun KHUDA na karay,
Rahay ga sath tera pyar zindagi bun kr,
Yeh or baat meri zindagi wafa na karay,
Yeh theek hai nhi mrta koi judai mein,
KHUDA kisi ko kisi se magar juda na karay,
Suna hai usko mohabbat Duaein deti hai,
Jo dil pay chot to khaaye magar gila na karay,
Agar wafa pay bhrosa na rahay duniya ko,
To koi shakhs mohabbat ka hosla na karay,
Zamana dekh chuka hai,parakh chuka hai usay,
QATEEL jan se jaye per iltaja na karay..
babri
2

my fav one. bohat khoob.
main soch raha tha k 6th ko post karon ga lekin app ne kar di
thanks for sharing wid us.
Re: Woh dil he kya jo teray milnay ki Dua na karay..
Kya kehnay Qateel Shifai is a gr8 poet too :k: Thanks 4 sharing !