*
Woh day raha hai dilasay to um’r bhar kay mujhay
bichar na jaye kahi phiR udaas karkay mujhay
Jahan na to nA teri yaad kay qadaM hongay
dara rahay haiN wohi marhalay safaR kay mujhay
hawa-e-dast mujhay ab tu ajnabi na samjh!
kay ab to bhool gaye rastay bhi ghaR kay mujhay
ye chund ashQ bhi teray hain sham-e-gham lakin
ujalnay hain abhi khal-e-khud sehaR kay mujhay
dil-e-tabah teray ghaM ko talnay kay liye!
suna raha hai fasanay idhar udhaR kay mujhay
qaba-e-zakhm badan par saja kay nikla ho
woh ab mila bhi to ankh bhaR kay dekhay ga mujhay
** kuch isliye bhi maiN us say bichaR gya “mohsin”
woh door door say dekhay tahr tahr kay mujhay**
Re: Woh day raha hai dilasay to um’r bhar kay mujhay
bohat khoob chando g thanks 4 posting…aj tu waday waday log post kar rahya ..
WiseGuy
3
Woh day raha hai dilasay to um'r bhar kay mujhay
bichar na jaye kahi phiR udaas karkay mujhay
Bus koshish kee thee :)
BOhat khoob Chando Jee
Thanks for sharing
jasmeen
5
wahh chandooo kia khoob hay kas ker last sher:flower1:
WiseGuy
8
Re: Re: Woh day raha hai dilasay to um'r bhar kay mujhay
[QUOTE]
*Originally posted by NikamiJano: *
bohat khoob chando g thanks 4 posting...aj tu waday waday log post kar rahya ..:p
[/QUOTE]
Kinnay waddy kia Alam Channa nay post ker dee hai :p
Koyal
10
Re: Re: Re: Woh day raha hai dilasay to um’r bhar kay mujhay
uno ne waday kaha hia lambay nahi kaha 
Re: Re: Re: Re: Woh day raha hai dilasay to um’r bhar kay mujhay
