woh dasht kaisa tha?

Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye
Kaha,
sailab jaisa tha,
bohot chaha keh bach niklein magar sub kuch baha aaye

Kaho,
woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya
Kaha,
bus aag Jaisa tha,
usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye

Kaho,
woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?
Kaha,
ik raastay jaisa,
jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye

Kaho,
woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay
Kaha,
woh khawab jaisa tha,
nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye

Kaho,
woh ishq kaisa tha?
Bina parkhay kia jo tum nay
Kaha,
titlii k rang jaisa,
bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye

Kaho,
woh naam kaisa tha?
Jisay chanchal
Hawaon per likha tum nay
Kaha,
bus mosmoon jaisa,
na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye
Suno,
khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?
Bataya ,
paanion per khawab ki rakhi bena jaisay
Bhala tum rooh ki in kirchiyon main dhoondtay kia ho?
Kaha,
yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay
Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay…!

Re: woh dasht kaisa tha?

Kaho,
woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?

itne personal sawaal?

Re: woh dasht kaisa tha?

ye sab se aham sawal tha
baat chone ki nahi EHSAS ki hy :emmy:

Re: woh dasht kaisa tha?

phir bhi peeping Tom banene ka shoq kiyun hota hai dulha dulhan ke doston ko

Re: woh dasht kaisa tha?

:cb:

Jab Aap dulha banaayn gay tab khudi pata chal jaay ga …Aapko