Deyaar-E-dil ki raat main chiragh sa jala gaya,
Mila nahin to kiya hoa, woh shakl to dikha gaya,
Judaiyon ke zakhm, dard ne bhar diye,
Usey bhi neend aa gai, mujhey bhi sabr aa gaya,
Woh dosti to kher ab nasseb-E-dushmanan hoi,
Woh choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya,
Pukarti hain fursataien, kahan gaien woh sohbataien,
Zameen nigal gai unhen ya aasman kha gaya,
Yeh subha ki safaidiyan yeh dopeher ki zardiyan,
Main aainey main dhondhta hon main kahan chala gaya