**Deyaar-E-dil ki raat main chiragh sa jala gaya,
Mila nahin to kiya hoa, woh shakl to dikha gaya,
Judaiyon ke zakhm, dard ne bhar diye,
Usey bhi neend aa gai, mujhey bhi sabr aa gaya,
Woh dosti to kher ab nasseb-E-dushmanan hoi,
Woh choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya,
Pukarti hain fursataien, kahan gaien woh sohbataien,
Zameen nigal gai unhen ya aasman kha gaya,
Yeh subha ki safaidiyan yeh dopeher ki zardiyan,
Main aainey main dhondhta hon main kahan chala gaya**
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
awesome...(who's the poet?)
this just came in after reading this :)
ayaaN huaY thaY yooN, aasaar-e-subh kaY buss
Guzraa huvaa woh ka'L, phir guzarta chalaa gaya
(AQ)
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
wah wah AQ bhai zabardast
and as usual i dunno the name of the poet :)
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
buhat khoob :k:
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
buhat khob
zabardast
i had only 2 shers before but ma fav
Sheal
6
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
bohot khoob bheegi.
nice shair AQ
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
Nazdeeq Tha Tu Dareechay Ka Chaand Thaa
Wo Duur Kya Hua K Sitara Sa Ho Gaya
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
^ welcome back muncho ji 
beautiful sharing Bheegi and AQ
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
teen aur sher ho gaye haiN jee issi zameen kaY 
jaisaY kaY:
HuaY phir Chaarah gar, jub raqeeb aye dostoN
maiN apnaY aap hee daam maiN aataa chalaa gaya
(AQ)
S.786
10
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
zabardast
(bichra kuch es ada sy k rut hi badal gai...
ek shakhs saary shehr ko weran kar gaya)
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
zabardasstt Sharing.. :k:
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
thanx eve 1
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
:AID:
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
^ shukriya
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
^
mention not
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
last shair is beautiful :k:
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
Beautiful sharing Bheegi, do sher's missing they , its by Nasir kazim :-)
ye kis Khushii kii rait par ghamoN ko neend aa gai
wuh lahar kis taraf gai ye main kahaaN samaa geya
gaey dinoN kii laash par paRe raho ge kab talak
uTho amal - kashoN uTho ke aafataab sar pe aa geya
Re: woh choti choti ranjasheeon ka lutf
thanx gul for addition
thanx eve 1