Dunia ka bhi kuch bura tamasha nahi raha
Dil chahta tha jis terah waisa bhi nahi raha
Tum say millay bhi hum, judaaie kay Mor per
Kashti hoyee naseeb to darya nahi raha
Kehtay thay ik pal na jeeain gay tere baghair
Hum donoo reh gaye, woh wada nahi raha
Katay hain tere bad is terah roz -o-shab
Main saans lay raha tha per zinda nahi raha
Ankhain bhi daikh daikh k khuwab, aa gai hain tung
Dil main bhi ab woh shoq, woh lapka nahi raha
Kaysay milaain aankh kissi aainay say hum
Ab to Hamaray paas woh chehra nahi raha…!!