Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana …
Mujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na bana …
Saink’roon rastey hain ajnabi ho janey ke …
Tark karna hai tou talook ka bahana na bana …
Jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai …
Muhjey insaan samja khud ko farishta na bana …
Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey …
Is mehaktey huay gulzaar ko sehra na bana …
Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon …
Muhjey aab shehar dard-e-tamasha na bana …
Thak gaeen hain mere ehsaas ki aakhain …
Nqash-e-deewar per aab koi afsana na bana …