aankhon ko intzaar ka deke hunar chahla gaya,
chaha tha ek shakhs ko jane kidhar chala gaya,
din ki woh mehfilein gayii, raaton ke ratjage gaye,
koi samet kar mere sham-o-saher chala gaya,
jhonka hai ek bahaar ka,rang-e-khayal -e-yaar bhi,
har soo bikhar gayi khushboo jidhar woh chala gaya,
uske hi dam se dil mein aaj,dhoop bhi chandni hai,
deke woh apni yaad ke ,shams-o-qamar chala gaya,
kucha-b-kucha ,dar-o-dar ,kab se bhatak raha hai dil,
humko bhula ke raah woh apni dagar chala gaya…