Woh chahta tha phir bhi koi Guftago na ki
Main nay bhi poochnay ki Justojoo na ki
Tasveer teri dekh kar Ankheein Chaalkh parein
Hum nay teri Ibadaat kabhi bay-Wuzu na ki
Baithay rahay chup chap Hum pardah nasheen k paas
MUSA ki tarahan dekhnay ki Arzoo na ki
WOH hay Nasha-e-ISHQ ki lazat say Bay Khabar
Jis nay ye Zindagi kabhi Nazar-e-Sobo na ki
Karta raha biyaan WOH Geeroon kay Samanay
OS nay kabhi Shekayat Merey Ro o-ba-Roo na ki
DIL mein chuppaye rakhay hain Hum nay Raaz-e-ISHQ
Ahel-e-Janoon ki baat kabhi Koo-ba-Koo na ki
Milta nahi hay US ko Shahadat ka Martaba
Rah-e-KHUDA mein jis nay ye Gardan Lahoo na ki
girte hain shehsawar hi maidan-e-jung mein
wo tifl kya gire ga jo ghutno ke bal chale
Simply Seema amazing poem u posted there…very very nice…:k:
in teen sheron pe shairi khatam hae…
Tasveer teri dekh kar Ankheein Chaalkh parein
Hum nay teri Ibadaat kabhi bay-Wuzu na ki
Karta raha biyaan WOH Geeroon kay Samanay
OS nay kabhi Shekayat Merey Ro o-ba-Roo na ki
Milta nahi hay US ko Shahadat ka Martaba
Rah-e-KHUDA mein jis nay ye Gardan Lahoo na ki
zabardast yaar :k:
wowwwwwwwwww. That's beautiful. :(
system
8
toooo good :k: zabardast.. gonna print this 
Daagh
9
bahot khoob Seema jee 
**Karta raha biyaan WOH Geeroon kay Samanay
OS nay kabhi Shekayat Merey Ro o-ba-Roo na ki
**
bahot khoob
dunno na 
got in da mail
tx evbuddy 