woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

woh jis ka naam bhi liya paheliyon ki aut mein
nazar pari to chhup gayee saheliyon ki aut mein

rukay gy sharam se kahan yeh khaal o khad ki roshni
chhupay ga aftab kia hatheliyon ki aut mein

tere mere milaap per woh dushman ki saazishein
woh saanp reengtay huwe chanbeliyon ki aut mein

woh tere ishtiyaaq ki hazaar heela saaziyan
woh mera iztiraab yaar bailiyon ki aut mein

chalo k hum bujhe bujhe se ghar ka marsiya kahain
woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

chand kay neechay say serhi nikal letay ap takay wo utar hi na pata :halo:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

idea acha hai.. per chand seeRihyon pe aata to sahi :p

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

Nice shair :k: :wink:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

which shair?

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

chalo k hum bujhe bujhe se ghar ka marsiya kahain
woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

tere mere milaap per woh dushman ki saazishein
woh saanp reengtay huwe chanbeliyon ki aut mein

woh tere ishtiyaaq ki hazaar heela saaziyan
woh mera iztiraab yaar bailiyon ki aut mein

:cadet:
:nahi: :nahi: mujy nahi yad kerna vo sab

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

jab bhi aata hai tera naam mere naam ke sath
jane kiyun mere naam se log jal jate hain :mad2:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

zalimon ne mère naam k board bhi chura liya tha :crying:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

kiyun aap High Court main Wakeel thi..

Miss Jiia.. Advocate High Court (Mahir Deevani muqadmaat) :hehe:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

:cb: musheer devanii :omg:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

BTW ye deewani adalaten aur muqadmaat kiya hote hain?

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

jin kay chungal mein koi bhi banda phans jaye tu us ka diwaliya nikal jata hai aur wo deewana ho jata hai, is called deewani adalaten, aur deewani muqadamat

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

:wub: :slight_smile:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

muqadammat to sare aise hote hain.. log to ye dua dete hain ke kabhi kisi doctor aur Wakeel se wasta na paRe.

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

you mean ishq ki adaalat main pyar ka muqadma.. baqol mere:

Ishq wo munsif ke saza hatmi hai
na koi jirha kare na koi daleel sune

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

mera bhi yahi khiyal hy :hehe:

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

Bilkul sahi yehi kaha jata hai, lekin wakeel kay pass jana tu majbori hoti hai, lekin doctor ki bajayay mein hakeem kay pass jata hon

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

aapny kabhi nahin perha

KHODA BACHAE 3 BALOUN SE
HAKEMO SE HASENO SE .........

Re: woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

aisa ishq jis ki kismat ka faisla kisi aur par depend karta ho? na bhai na aisay ishq say tu behtar hai insan cartoon network dekh lay :D