woh bhi kia din thay keh pal main kar deya kartay thay ham
umr bhar ki chahatain har ek harjie kay naam
woh bhi kia mausam thay jin ki nikhatoun kay ziayqay
likh deya kartay thay khal-o-khad ki raanie kay naam
woh bhi kia subhain theen jin ki muskurahat ka fasoon
waqf tha ahl-e-wafa ki bazm aarie kay naam
woh bhi kia shaamain theen jin ki shouhratain mansoub theen
bay sabab khultay hoay baaloun ki rouswie kay naam
ab kay woh rut hay keh har taza qayamat ka azaab
apnay dil main jaagtay zakhmoun ki gahrie kay naam
ab kay apnay aansouoon kay sab shikasta aaeenay
kuch zamanay kay leeyay kuch apni tanhie kay naam