Woh apne ishq mein kaisa kamaal rakhta hai

Woh apne ishq mein kaisa kamaal rakhta hai
Ke be-rukhi mein bhi mera khayaal rakhta hai..
Jo aaj mera nahi hai,woh kal mera hoga
Ke har zamana urooj-o-zawaal rakhta hai…
Ajab nahi woh jahan bhar ko bewafa samjhe
Nazar mein meri wafaa ki misaal rakhta hai…
Kahan talak koi dast-e-karam ko zehmat de
Tamaam shehar hi dast-e-sawaal rakhta hai…
Meri udraan ke aage hai kiss qadar be-bass
Yeh aasmaan jo sitaron ka jaal rakhta hai…
Tera khayaal hi kuch meharbaan hai warna
Jahaan mein kaun kissi ka khayaal rakhta hai

beautiful…:flower2:

Ajab nahi woh jahan bhar ko bewafa samjhe
Nazar mein meri wafaa ki misaal rakhta hai...

kya baat hai...beautiful......
thanks for sharing ** cecosuni **

Very Nice :k: